darse aqaid

23/01/2012 11:07

please pura padh le

Q. Kya Ummat e MUHAMMAD Kabi SHIRK Me Mubtila Hogi?
A. Mere Aaqa (alehisalatuwassalam) Farmatey Hen!

KHUDAA Ki Qasam Muje Tum Per Koi KHOFF Nhe K Mere Baad SHIRK Karoge

{Bukhari Jild #2 Page #975

Hadith #6102}

Q. Kya Esaale Sawab Jaaiz He?
A. Hzrat Saad RadiyALLAHu Anhu Ne Arz Ki
Ya RasooLALLAH!

{Alaihisalatu Wassalaam}

Meri Maa Ka Inteqal Hogaya To Konsa Sadqa Afzal He?

Farmaya

PAANI Ka!

Phr Unho Ne KUNWAN [Well] Khdwaya Or Kaha Ye Saad Ki Maa Ka He
(Abu Daud J1 P#236)
(Musnad e Ahmed J5 P#275)
(Behiqee Snan Kubra J4 P#185)

Q. Kya ALLAH K Nek Bandon Se MADAD Mangna Jaiz He?
A. SARKAR Alaihisalatusalam:

Jab Kisi Ki Koi CHEEZ Kho Jaye Ya Wo MADAD Chahata Ho,

Aur Aisi JAGA Ho Jahan Koi GAMKHuAR Na Ho to Wo Yun Kahe,
"Aye ALLAH K BANDO! MERI MADAD KARO"

(Tibrani, Ibn Abi Sheba P#22)

Q. Kya ANBYA Qabron Me Zinda Hen?
A. Sarkar Alahisalatu Wassalam:

BeShak ALLAH Ne Zamin Par Haram Kya K ANBYA K Jismon Ko Khaye
Pas
ALLAH K NABI Zinda Hen Aur Rizq Dye Jaate Hen
{Rawi: Hazrat Abu Dardaa RadiyALLAHu anhu}
{Abu Dawood: #1047, Ibne Maja} 

Q. Konsa Firqa JANNATI He?
A. Mafhum:
Bani Israel K 72 Firqe They
Meri Ummat K 73 Honge
Aur Siwaye Ek K Tamam JAHANNAM Me Jayenge
SAHABA (RadiyALLAHu anhum):
Jannat Wale Kon Honge?
SARKAR (alehi salatu salam):
"Jo Mere Aur SAHABA K Tariqey Par Honge"
(Tirmizi, Kitabul Emaan H#2565) 

Q. Kya ALLAH ko WASILA De kar Dua Karna Jaaiz He?
A. AlQur'an:
ALLAH Ki Taraf WASILA Dhondo (Al Maida #35)
¤Mafhum e Hadis:
SARKAR (allehe salatu salam):
Tum ko Fatah Milti He Aur Rozi Di Jati He, BUZRUGON or FAQIRON k WASILAY Se.
(Mishkat Sharif Babul Fuqara) 

Q. Kya Azaan K Baad DUROOD Parhna Jaaiz He?
A. Taajdaar e Kainaat [Alaihissalatuwassalam] Farmatey Hen;
Jab Tum Mo'Azzin Se Azaan Suno To Jis Tarah Kahey, Usi Tarah Kaho Phir Muj Par DUROOD o SALAM Parho Aur Mere Wasiley Se DUA Maango..
(Mishkat Sharif P#64) 

Q. Kya Rabiul Awwal K Mahine Me JANDEY Lagana BID'AT He?
A. Jab AaQA (Alehisalatuwasalam)
Dunya Me Jalwa Gar Hue To SHABE WILADAT
Hazrat JibraeL
Ne 1 Jhanda KAABE Ki Chatt Par Awezaan Kya
2 Jhande MASHRIQ o MAGRIB Me Lehraye
Aehtmam ALLAH Ki Taraf Se Tha
[Seerat Halbya J1 P# 109] 

Q. Kya Juloos Nikalna SAHABA Ki Sunnat He?
A. Jab Aaqa (Alehissalam) Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye.
To Logon Ne Khub Jashn Manaya
Nojawan Larke Apni Chatton Par Charh Kar
Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte The
Aur Nara'Ae Risalat Lagate Aur Kehte
YA RASOLALLAH
(Muslim J2/P#419) 

Q.Kya ALLAH K Walyo Ka Saal Me Din Muqarrar Krna Jaaiz He?
A. Ibne Abi Shaiba (RadiyALLAHu Anhu) Raawi Hen K
SARKAR (alehisalatuwassalam) Har Saal Shohada K Mazaraat Pr Jaa Kar Unhen SALAM Karte
Aur NABI Ki Sunnat Ki Adaigi K Lye Chaaron KHALIFA Bi Aisa Hi Krte
(Muqaddma SHAMI J1) 

Q. Kya SHABe WiLADATe MUSTAFA, SHABe QADAR Se Afzal He?
A. ¤Imam Zurqani;
SHABe QADAR Me QURAN Naazil Hua Aur Is Raat Sahibe QURAN Aaye
Islye Ye Raat Afzal He
Aur Buhat Likha He
{Zurqani, AlMawahib Dunya) P132 J1 Misar}
Shah Mohaddis Dehlwi:
(Masabata Bissunnati Lahore
P#59,60)

Q. Kya ALLAH Ki Ataa K Bagair Koi Madad Karta He?
A. Chahe NABI Ho Ya WALI, ALLAH Ki Ataa K Bagair Madad Nhe Kar Sakta,
Hum Kisi Se Maangte Hen To Ye Samaj Kar K Wo ALLAH K Nek Bande Hen Aur Hum Unka Wasila De Kar Dua Karen ALLAH Qubool Kare Ga,
Or Wo ALLAH K Hukum Se Madad Krte Hen
 Q.Sarkar (alehisalatu wassalam) Ki Zaat Me Aeb Nikalne Wala Kesa He
A. Aimma Arba {4} ka
Muttafiqa Fatwa:
SARKAR Ki
ZAAT
Sifaat
Nasab
Me Aib or Ta'ana
Kasne Wala
KAFIR
Wajib-ul-Qatal
or Iski
TOBA
Na-Maqbul
{Fatahul Qadeer J4 P#407}

Q. {12} RabiuNoor Ko EID Ka Din Kehna Kesa?
A. Hazrat Essa {alehissalam}:
Aye RAB!
Hum Pr Asman Se Ek Khuwan Naazil Kar K Wo Hmare Lye EID Ho, Hmare Aglo Or Pichlo Ki
(ALMaida #114)
Agr KHuWAN Jo Nemat Or EID Ho
To MERE NABI Jo
Jaan E Rehmat Hen
Unki Aamad Ka Din EID Kyu Na Ho

Q. Eid e Miladunnabi Me Nafli Roze Rakhna Kahan Se Sabit He?
A. Mere AaQA (alehissalam) Har Peer Sharif Ko Roza Rakh Kar Apna Yome Wiladat Manatey,
Abu Qatada (RaziALLAH) Ke Istiftar Par Sarkar Ne Farmaya:
Isee Din Meri Wiladat Hui,
Aur Isi Roz Muj Par Wahi Nazil Hui
(Muslim J#01)
 
Q. Kya Shaheed Zinda Hen?
A. Jo ALLAH Ki Raah Me Maare Jayen Inhe Murda Gumaan Bhi Na Karo Wo ZINDA Hen Or RAB K Paas RIZQ Dye Jate Hen
(Aale Imran 169)
Dusri Jaga Yahi Mafhum
(Baqara 154)
Jo NABI k Deen ko Bachatey Hue Jo SHAHEED Ho Uska Ye Maqam
To Khud NABI Ka Kya Martaba Hoga?
 
Q. Kya Sarkar (alehisalatuwassalam) Ne Kabi Apna Meelad Manaya?
A. SARKAR (alehisalatuwassalam) MIMBER Par Jalwa Afroz Hue, Apna ZIKER e WILADAT Kya Aur Apne FAZA'IL Bayan Frmaye
(Tirmizi J2 P#201)
Malum Hua K Meelad BID'AT Nhe
Jo Log BID'AT Kehte Hen Wo QURAN o HADEES Se SABIT Kren
 
Q. Kya Sarkar (alehissalatuwassalaam) Noori Bashar Hen
A. Imam Ahmed Halbi:
Beshak Sarkar Jab SURAJ Ya CHAAND Ki Roshni Me Chalte,
AapKa Saaya Nhe Hota,
Is Lye K Aap NOOR Hen
(Seerat e Halbya J#2 P#422
Sabit Hua K Sarkar (alehisalatuwassalaam)
Aam Insan Nhe Balke Noori Bashar Hen
 
Q. Kya Sarkar (alehisalauwassalaam) Ummatiyo K Haal Se Baa Khabar Hen?
A. "To Kesi Hogi Jb Hum Har Ummat Se Ek GAWAH Len Or Aye MEHBOOB Tumhe Un Sab Par GAWAH Or NIGEHBAN Bana K Len"
(P5 Nisaa Ayat#41)
"Be Shak Hum Ne Tumhe Bheja GAWAH Khushi Or Dar Sunata"
(P26 Fatah Ayat#8
Pyare Aaqa
Na Sirf Apni Ummat, Balke Jitni Ummaten Guzri Sub Par GAWAH Hen,
Or GAWAHI Wohi Deta He Jo Mojud Ho Aur Jis Par Gawahi Deni He Usey Dekhne Wala Ho
 
Q. Kya TAAWEEZ Baandhna Jaaiz He?
A. "Aur Hum Qur'an Me Utaarte Hen Wo Cheez Jo Momino K Lye (Ruhani o Jismani) Amraz Se SHIFA He"

Is Ayat K Tehat
Mehmud Aalusi Ne
Roohul Ma'ani Me
Imam Subki,
Imam Malik, Baqir,
Imam Seerin Ka Qoal Likha:
"Asmae Elahi,
Duae Maasura Ka Taweez Baandhna Sahaba o Tabaeen Ka Mamul,
Jaaiz o
Mustaheb He"
Ibne Umer Apne Bachon Ko Muawwizat Ka Taaweez Baandhte They

(Abu Dawood, Tirmizi)
 
Q.Meelad Ko Shirk Kehna Kesa He?
A.Jis Ne Kaha Meelad SHIRK He Wo Daira e Islam Se Kharij Hogaya...
KESEY?
Kyunki Meelad Ka Matlab He "Pedaish Ka Din"
Aur ALLAH Peda Hone Se Paak He,
Jinho Ne Shirk Kaha
Wo ALLAH ki Baargah Me Tauba Karen Or Apne Sho'ur Se Haqiqat Ko Jaaney

 Q.Nabi Ko Apne Jesa Bashar Kehna Kesa?
A.Nabi Ko Haqarat Se Sbse Pehle Bashar SHETAN Ne Kaha
(AlHajr Ayat#33)
Phir Uske Chelo Aur Mushrikin Ne Kaha:
"Tum To Hum Jese Bashar Ho"
(AlIbrahim Ayat#10)
(AlShuara Ayat#186)
Malum Hua Ke Nabi Ko Apne Jesa Bashar Kehna Momino Ka Tariqa Nhe
 
Q.Kya AAQA alehisalatuwassalam Mukhtaar e Kul Hen?
A."Aasman Aur Zamin Ki Hr Cheez ALLAH Ne Tumhare Lye Musakhar Kar Di Aur Apni Zahiri o Batini Nematen Di"
(Luqman Ayat#20)
"Beshak Muje Zamin Ke Khazano Ki Kunjiyan Ata Ki Gayin"
(Bukhari J2, P#585,975)
(Muslim J2, P#250, Mishkat)
 
Q.Nabi Paak alehisalatuwassalaam Pr Kisi Ne Ta'an Kya, To Ab Ek Aashiq e Rasul Pr Kya Lazim He?

Mujaddid Alf e Saani :

Koi Din Me LAAKH Durood Parhta He Magar Huzoor K Mutaliq Ta'an (Gustakhi) Ko Thandey Peat Sun Leta He To Uska Parhna Us K Moo Par Maar Dya Jayega
{MAKTOOBAT}
 
Q.Sarkar alehisalatuwassalam Ki Wiladat Pr Khushi Manane Ko Qur'an Se Sabit Karen?
A."Aap Keh Dijye ALLAH Ke Fazal Aur REHMAT Ke Husool Par Khushi Manao"
(Younus Ayat#58)
"Aur Hum Ne Aap Ko Tamam Jahano Ke Lye REHMAT Bana Kar Bheja"
(Anbyaa Ayat#107)
Dekh Lijye
Faisla Aap Pr He!
 
Q.Hidayet Kon Deta He?
A.Hamara Emaan He K ALLAH Ki Marzi k Khilaf Nabi Hidayat Nhe Karte
Magar
ALLAH Ki Ataa Se Nabi Hidayet Karte Hen
"Aur Tum Aye Mehbub Hidayat Karte Ho Seedhe Raaste Ki"
(AlSura Ayat#52)
Rab Ne Huzoor Ko HAADI Bana Kar Bheja Aur HAADI Aapka Sifaati Name Bi He
 
Q.Shirk ki Tareef Karen?
A. Ek Se Zyada Khuda Man'na
Yani ALLAH Ki Zaat, Sifat Ya Af'aal Me Kisi Ko Wesa Hi Samaj Kar Sharik Karna.
Ya Kisi Ghairullah Ko Mustahiq e Ibadat W Paristish Jan'na
Ahlesunnat Ko Khumakhwa Mushrik Kehne Wale Is Tarif Ki Roshni Me Mushrik Saabit Karen!
 
Q.Bid'at ka Mafhum Bataen?

Har Wo Kaam Jiski Koi Asal Bilwasta Ya Bilawasta Na
Quran Me Ho Na Sunnate Rasul Me Ho,
Aur Ise Zaruryat e Deen
{Jiska Inkar Kufr He}
Me Shumar Karte Huey Shamil e Deen Kar Dya Jay
Mutlaqan Har Naye Kaam Ko Az Roo e Shara Is Lye Bid'at Kehna

K Wo Naya He To Is Se Shariat Ki Taalimat Me Kam o Besh 80% Kaam Najaaiz Ho Jaayenge

Agar Kisi Ko Ikhtilaf He To Challenge He K Bid'at Ki Koi Tareef Likh Den
 
Q.Agar Deen Me Koi Naya Acha Kaam Ho Jo Shariat Se Na Takraye To Uske Lye Kya Fazeelat He, Misaal Bhi Den?

A.Sarkar sallallahu alehi wasallam :
Mere Baad Koi Aisa Amal Jaari Kare Jo Deen Ki Asal Se Mutazad Na Ho Qayamat Tak Us Pe Amal Karne Walon Ka Bi Sawab Paye Ga
(MUSLIM)
E.g:
QURAN ki Mojuda Tartib
Kitabi Surat
Earab o Tarajim
Ahadees,Uski Asnaad o Usool
Tiraweeh
Jumey Ki Azaan e Saani
Jalsey, Juloos
Masajid Ki Mojuda Surat
 
Q.YA RASOOLALLAH

(Aye ALLAH K Rasool) Pukarna Kese Jaaiz H?

A.
NAMAZ Me ATTAHEYAAT Prhte Hen Jis Me
"ASSALAMU ALAIKA AYYUHAN NABIYU"
(Aye NABI Aap Pr Salamti Ho)
'YA'
Harf e Nida Kisi Ko Pukarne K Lye Aata He Aur
'AIYUHAN' Me 'A' Hrfe Nida He,
Jab
NAMAZ Me Ye Parhna Wajib He To NAMAZ K Baahir Kese Jaaiz Nhe?
Aur Buhat Si Ahadis Hen Jin Me Sarkar alehisalatuwassalam Ke Parda
Farmane Ke Bad Sahaba Ne Ye Seega Sarkar Ke Lye Arz Kya
 
Q.Kya Hamara Esaal e Sawab Pichlon Ko Puhanchta He?
ALLAH Jannat Me Kisi Bandey Ke Darjaat Buland Karega To Wo Arz Karega,
Aye ALLAH Ye Darja Kese Buland Hua?
ALLAH Farmaye Ga Ke Tere Betey Na Tery Lye Istigfar Kya
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja 268)
(Tibrani Osat J5 P#349)
 
Q.Kya Sarkar Ne Rooh Aur Jism Ke Saath MERAAJ Ka Safar Farmaya?
A.'Paaki He Usey Jo Apne Bandey ko Raaton Raat Le Gaya Masjid e Haraam Se Masjid e Aqsa Ki Taraf'
(Para #15)
Ayat Me Lafz "BI ABDIHI" He Jis se Murad BANDA He
Aur Bandey K Lye Rooh or Jism Ka Ek Sath Hona Laazim He
 Q.Kya NIYAZ Jaaiz He?
A.Quran o Hadis Me Kahin Niyaz Ki Mumaniat Nhe
Balke Quran Me Irshad:
"To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya,
Agar Tum Uski Aayaten Maantey Ho"
(Al-An'am V#118)
Yaani Jis Pr ALLAH Ka Name Zikar Kya Gaya,
Jese NIYAZ Par FATIHA Dete Waqt Quran Parha
 
Q.Kya Shab e Bar'at (15 Shabaan) Me Qabarastan Jana Afzal He?
A.Mafhum e Hadees:
Hazrat Ayesha Radiyallah Ne
Ek Raat Sarkar Sallallahu Alehi Wasallam Ko Na Paaya
To 'Baqee Sharif' Me Nazar Aye Farmaya!
Be Shak Nisf Shabaan (15ween Raat) ALLAH Khaas Tajalli Farmata He, Pas Qabila Bani Kalb Ki Bakrion Ke Baalon Se Zyada Musalmano Ki Magfirat Farmata He....
Aau Kamaa Qaala
(Ibne Maaja, J#2 P#83 H#739
Published: Daarul Fikr Berrut
 
Q.Kya Damm Karna (Parh Kar Phoonkna) Jaaiz He?
A.
Hazrat Anas:
"Sarkar Ne Nazr e Bad,
Zehriley Hewaan Or Keerey Makoro K Kaatney Se Damm Karne Ki Rukhsat Marhamat Farmayi"
(Muslim)
Umme Salma:
"Sarkar Ne 1 Kaneeza K Chehre Me Zardi Dekhi To Farmaya Isey Damm Karo"
(Bukhari-Muslim)
 
Q.Buzurgo Ke Haath, Paun Choomna Kesa He?
A.Ibn e Umar Aur Deegar Sahaba RadiyALLAHu Anhum Ne Farmaya Ke Hum Ne Nabi Paak Alehissalam Ke Haath Choomey
(Ibn e Maaja J#2 P#404, H#1498)
(Abu Daud J#3 P#640, H#1782)
Malum Hua Ke Buzurgo Ke Hath Choomna Jaaiz Bulke Sunnat e Sahaba He
 
Q.Kya Namaz e Janaza K Baad Dua Maangna Jaaiz He?
A.Farman e Ilahi
"Me Dua Qubool Karta Hun Pukarne Waley Ki, Jab Bhi Muje Pukarey"
{Al Baqarah V#186}

Jab Mutlaqan Dua Maangna Jaaiz To Namaz e Janaza K Baad Bi Jaaiz,
Raawi:
Suleman Bin Ash'at

Abu Huraira

Me K
Sarkar Alehisalam:
"Jb Tum Mayyat Par Namaz Parh Chuko To Phir Khuloos Se Is Mayyat K Lye Dua Karo"
Malum Hua K Baad e Janaza Dua Shar'an Durust He
 
Q.Kya Azaan Se Pehle Durood o Salaam Parhna Mamnoo He?
A.
Durud o Salam Har Ghari,
Har Jaga Parhna Jaaiz Bulke ALLAH Ka Hukum
Quran Me Mutlaq Irshad
(Al-Ahzaab, V#56, P#22)
Aayat Me Kisi Waqt Ya Jaga Ko Muayyan Nhe Kya
Mafhume Hadis:
Arwa Bin Zubair Ki Bani Najjaar Ki Ek Aurat Se Riwayat:Mera Gar Masjide Nabwi K Gird Tawil Tarin,
Hazrat Bilal Mere Gar Ki Chat Par Azaan Dete
Pehle Ahl e Quresh K Lye Dua Kartey,
(Abu Daud J#1 P#77)
 
Q.Kya Angoothe Choomna Bid'at He?
A
Hazrat Abubakar ne Azaan Me Sarkar Alehissalam Ka Name Sun Kar Apne Angootho Ko Choom Kr Aankho Par Phera
Is Par Sarkar Ne Farmaya
"Jo Tumhari Tarah Karey ALLAH Uske Tamam Gunaah Muaf Farmaye Ga"
(Roohul Bayan J#4, P#648)
Ek Riwayat Me Sarkar Ki Shafa'at Ka Zikar He
(Mozu'aat e Kabir, Maqasid e Hasana P#384)
Mulla Ali Qari:
Agar Is Hadis Ka Rafa Siddique Akbar Tak Sabit,
To Amal K Lye Kaafi He
 
Q.Kya Sarkar alehissalatuwassalam ALLAH Ka Rizq Taqseem Karte Hen?
A.Mafhum e Hadis:
Be Shak ALLAH Dene Wala He Aur Me TAQSEEM Karta Hun(Bukhari J#1 P#439)
(Muslim J#1 P#333

Emaan Mila Inke Sadqey,
Qur'an Mila Inke Sadqey,
Rehman Mila Inka Sadqey
Wo Kya Jo Hum Ne Paya Nhe.
Q.Kya Sarkar Alaihissalatuwassalam Ko Har Baat (Gaib) Ka Elm He?
A.
Hazrat Umer:
Sarkar Hamare Darmiyan Khare Hue,
AAP Ne
IBTEDA e DUNIYA
Se Le Kar
JANNATIYON
Aur
DOZAKHIYON
Tak Ki Khabar Di Use Jis Ne Yaad Rakha,
So Yaad Rakha
Aur Jo Bhool Gaya
So Bhool Gaya
(Bukhari J#1 P#453)
 
Q.Kya ALLAH K Naik BANDEY Kisi K Dilon Ka Haal Jaante Hen?
A.Hadees:
MOmIN Ki Firaasat Se Daro,
Be Shak Wo ALLAH Ke NOOR Se Dekhta He
(Tirmizi J#2 P#614)
Ab Agar Koi Walyo Ki Basaarat Ya Elm Par Aetraaz Karey To
Goya Us Ne Noor e Elahi Ko Apne Gandey Aetraaz Ka Nishana Banaya
 
Q.Kya ALLAH K Wali Door Se Bi Sun Sakte Aur Dekh Sakte Hen?
A.HADEES:
ALLAH Apne Nek Bando Ke Mutaliq Farmata He
"Me Uske Kaan Hojata Hun Jis Se Wo Sunta He,
Uski Ankhen Hojata Hun Jis Se Wo Dekhta He"
(Bukhari J#2 P#963)
Yaani
Jub ALLAH Ka Noor
Unke Kaan,
Unki Aankh
Hojata He To Wo
Door o Nazdeek Ki Pukar Sun Lete Hen,
Door Se Hi Mulahiza Karte Hen Aur Mushkil Ko Asaan Karne Per Qaadir Hojate Hen
(Tafseer Kabir J#7 P#436)
 
Q.Ahle Sunnat Aur Ahle Hadees

Ka Faraq Bataye?

A.
Sunnat ki Tareef:
Huzoor Ne Hamare Amal k Lye Jis Rah Ko Mutayyen Farmaya Us Rah Ko SUNNAT Kehte Hen
Hadees ki Tareef:
Huzoor K Har
Qoal
Feal
Aur Haal Ko HADEES Kehte Hen
@USOOL@
Ek Momin Aamil BisSunnat To Ho Sakta He
Aamil BilHadees Nahi Ho Sakta
Kyu Ke Sunnat Ka Mafhum Hi Ye He K Iske Mutabiq Amal Kya Jaye
Jab K Hadees Ka Mafhum Sunnat Se Aam He
 
Q.Sunnat Ke Mafhum Ko Mazeed Waazeh Karen?
A.Sunnat Ki Tareef Me 2 Baaten Qabil e Gour Hen
1.TAYYUN E AMAL
IsKi Qaid Se Wo Amal Kharij Hogaye Jinhe Baad K Ehkaam Ya Aamal Se Mansookh Kar Dya Gaya
Jese
Rafa Yadain
Qunute Nazla
Aamin Bil Jehar etc
2.HAMARE AMAL K LYE
IsKi Qaid Se Wo Aamal Kharij Hogaye Jo Huzur Ki Khususiyaat Aur Hamare Lye Jaaiz Nhe
Jese
Tahajjud Ki Farziyat
Soame Wisal
9 Azwaj Ka 1 Waqt Nikah Me etc
 
Q.Ab Hadees Ke Mafhum Ko Bhi Mazeed Waazeh Karen?
A.Hadees Ka Mafhum Sunnat Se Aam He
1.Huzoor Ne
Mazi
Haal O Mustaqbil Ki Jo Khabren Deen Wo B Hadees
2.Pichli Ummaton K Aamaal B Hadees K Jin Me Baaz Pe Amal Najaiz
3.Wo Aamal B Hadees Jo Ibtidae Islam Me Mubaah Aur Baad Me Mansukh Maslan Sharaab Noshi
4.Huzoor Ki Khususiyaat Bhi Hadees Me Mazkoor
Jis Pe Hamen Amal Mashru Nhe
 
Q.HADIS Aur SUNNAT Ke Hawale Se #35 Se #38 Tak Apne Kya Wazeh Kya?
A.
Hadees Pr Amal Ka Hukum Nhe
Bal K Sirf Puhnchane Ka Hukum He
Mujse Sun'nay Waley Gaaib Ko Hadees Puhncha Den
(Bukhari)
Sunnat Pr Amal Ka Hukum He
Meri Sunnat Pe Amal Ko Lazim Rakho
(Tirmizi)
Jis Ne Meri Sunnat Se Mu Mora Wo Meri Ummat Se Nhe (Bukhari)
Sabit Hua
Tamaam Ahadees Pe Amal Namumkin
Jabk Tamam Sunan Pe Mumkin
Pas Musalman Ahle Sunnat Hi Hosakta He...
 
.Aqida e Touheed Bataye?

 
AQIDA E MUTAAL'LIQAe
Zaat O Sifaate ILAHI
ALLAH Ek He
Uska Koi Sharik Nahi
Na Zaat Me
Na Sifaat Me
Na Af'aal Me
Na Ahkaam Me
Na Asmaa Me,
Wo Waajibul Wujood He
(Uska Wajud Zaruri He)
Hamesha Se He
Aur Hamesha Rahe Ga
{Bahaar e Shariat V#1, P#1}
 
Q.ALLAH ke Bandey Jo Madad Krte Hen Uske Mutaliq Hmara Kya Aqida He?
A.Koi Musalman Kisi Bande Ko ALLAH Ki Misl, Ya Uske Bagair Madadgar Nhe Samajta
Aur ALLAH Ki Ataa Se Madad Goya ALLAH Hi Ki Madad He,
Kainat Ka Koi Zarra
ALLAH Ki Marzi Ke Bagair Madad Nhe Kar Sakta,
HAAN
Wo Apne Mehbubon Ke Wasila Qubool Krta He
Aur Aisa Karne Me Wo Majbur Nhe Balke Jab Wo Kisi Ko Mehboob Banaye To Apni Sifat Ka Inko Mazhar Bana Deta He
(Bukha
 
Q.Jo AuliyaALLAH Se Durust Aqeeda Na Rakhe Uske Mutaliq Ulama Kya Farmate Hen?
A.Jo Shaks AuliyaALLAH Se Durust Aqeedat Na Rakkhe Us Ka Khatima Imaan Par Na Hone Ka Qavi Andesha He
(Barkat-E-Qadriat, Page:30)
ALLAH Hame Auliya Ki Aqeedat Se Wabista Rakhey
 
Q.KARAAMAT Kise Kehte Hen?
A.
KARAAMAT Ism He Ikram Aur Takrim Se,
Istilah Me Us Khark e Aadat Ko Karamat Kehte Hen Jo Aqlan (Aadatan) Muhaal Yani Zaahiri Asbab K Zarye Iska Sudoor Na'Mumkin Ho
Magar ALLAAH Ki Ataa Se Auliya Karaam Se Aisi Baaten Basa Auqaat Sadir Hoti Hn
(Al-Nibraas,P#272,Multan)
Baaz Auqat Admi Karamat e Auliya K Muamle Me Shetan K Waswasy Me Aakr KARAAMAAT Ko Aqal K Taraazo Me Tol Leta He
Aur Gumrah Hojata He
 
Q.Ye Aqaid Sms Aamal Par Mabni Hote Hen (Jesey Jhandey Lagana, Milad Manana Wagera) To Phir Isey Aqaid Ka Name Kyu Dya He?
A.Darasal Muhabbat e Rasool Asl e Imaan Aur Aqeeda Ki Bunyad He
Jab K Bayan Karda Aamal Is Ke Juzyat Hen
Kaheen Saheeul Aqeeda Laa Ilmi Me Juzyat Ka Inkar Na Kar Bethey Aur Ye Jihaalat Usey Asl e Imaan Se Munharif Kar K Bad Aqeedgi Na Paida Kar Dey Is Lye Usey Ye Malumat Faraham Ki Jaa Rahi Hen
 
Q.Kya Hamare Aqide Ki Wazaahat Bhi Bayan Karda Aamal Se Hoti He?
A.Ji Haan Jab Dour Badalta He To Alaamat Aur Mayaar e Imaan Badalte Hen
Jese
Kafiron Ki Bheer Me Kalma e Tayiba Mayar
Munafiqon K Aane Se Ye Barh Kr Nabi Ki Aqeedat,
Kharjyon K Aane K Baad Mola Ali Ki Muhabbat,
Rafziyon e Amma Ayesha O Amir Muawiya Ki Aqeedat,
Gair Muqallidon Me Imamon Ka Tasleem Krna,
Aur Mojuda Wahabyon Me Bayan Karda Aamal Mayaar Aur Pehchaan Hen
 
Q.Kya Murdey Ko Zinda Ka Amal Fayda Puhnchata He?
A.Jo Musalman Mar Jaye Aur Us Par Musalmano Ki 3 Safen NAMAZ Parhen To ALLAH Us Par JANNAT Wajib Farma Deta He
(Abu Daud J3,P#270,H#3166)
 


Q.Mazaarat Se Mutalliq Hamara Kya Aqeeda He?
A. Jab Mazaar Par Jaate Hain To Sahib e Mazar Ko ALLAH Ka Banda Samajh Kar Jaate Hen. Aur ALLAH Se Unke Wasile Se Dua Karte Hen. Aur Agar Ahle Mazar Se Bi Manga To ALLAH Ki Rehmat Ka Mustahiq Jaan Kar.
K Wo ALLAH Ki Ataa Se Dete Hen.

.Namaz Ke Doran Raf'a Yadain Krna (Kaano Tk Haath Uthana) Kesa He
A.
Hzrat Alqama Raawi;
Abdullah Bin Mas'ud Ne Farmaya Ke Me Ne Sarkar Ki Tarah Namaz Parhai,
Siwaye Takbir e Tehrima K Kahi Hath Na Uthaye
(Abu Daud J1 P#109)
(Nisai J1 P#119)
(Tirmizi J1 P#64)
IsKi Sanad Hasan He

Q. Kya Shab e Meraj Sarkar Alaihisalatuwassalam Ne Rabb Ka Deedar Kya?
Hazrat Anas RadiyALLAHu anh:
"Hatta K Huzoor Sidratul Muntaha Pr Aaye Aur Jabbar Rabbul Izzat Apke Qareeb Hua. Phir Aur Zyada Qareeb Hua. Hatta K Wo Aap Se 2 Kamanon Ki Miqdaar Reh Gaya Ya Is Se B Zyada Nazdeek"
(Bukhari)
Ibn e Abbas Ne Farmaya
"Huzoor Ne Apne Rabb Ko Dekha He"
(Tirmizi)
Iske Elawa Muslim, Tibrani Wagera Me Bi Deegar Aisi Sahee Ahadis Milti Hen 

 Q.Murshid O Rehnuma Kyu Zaruri He?
A."Har Jama'at Ko Imam Ke Sath Bulayen Ge"
(Bani Israil Ayat#71)
Iske Elawa
Sura Kahaf Ayat#17 Se B Murshid Ki Haqiqat Sabit He
Lihaza Sahihul Aqida Namazi, Parhezgar Aur Kaamil Shakhs K Hath Pr Bait Krke Uske Hukum Par Chalna Chahye
Ibn e Umar RadiyALLAHu anhu Farmate Hen:
Hum Nabi Paak Alahissalatu Wassalaam Ki Bait Kya Kartey
{Abu Dawood J2, H#1166, P#443}
Aurten Parda Me Zubani Ehad Karen

Q.Kitni Rak'at Taraweeh Sunnat He?
A.
Hazrat Abdullah Ibn e Abbas RadiyALLAHu Anhu Raawi Hen Key Sarkar Alaihissalatu Wassalaam Ramazan Me
Witar K Ilawa 20 Rak'at Ada Farmatey
(Tibrani Ausat J1 P#444)
(Behiqi P#42)
(Musanif Ibn e Abi Shaiba J2 P#394)
Hazarat e Umer, Usman O Ali
Ridwanullahi Alaihim Ajmayin Ke Dour Me Bi Yahi Raaij Tha
(Mo'ta Imam Maalik, Behiqi)
Iske Elawa Imam Tirmizi Ne J1 P#139 Par Bhi Is Baat Ki Taayid Ki

.Kya Bad Mazhab Ki Iqtida Me Namaz Durust He?
A.
Mafhum e Hadis:
"Gustakh Ko Imam Mat Banao"
(Abu Dawood J1 H479 P221)
ALLAH Kisi Bad Mazhab Ki Namaz, Roza, Zakaat Qubul Nahi Karta
(Behiqi)
Bad Mazhab Ke Peechey Namaz Parhna Jaiz Nahi
(Sharah Fiqh e Akbar P5; Mulla Ali Qari)

Q.Kya Ijtihad Ka Sahaba Ki Zindagi Se Suboot Milta He?
A.
Hazrat Muaz Bin Jabal Ko Jb Yaman Bhejne Ka Irada Farmaya To Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Pucha;
"Muqaddama Paish Hoga To Kese Faisla Karoge?
Arz Ki; ALLAH Ki Kitab Se,
Farmaya; Agar Kitabullah Me Na Paao To?
Arz Ki; Nabi Ki Sunnat Se,
Farmaya; Agar Sunnat Me Bi Na Paao To?
Arz Ki; Apni Raaye Se Ijtihad Karunga
Phr Sarkar Ne Seene Ko Thapkaya Aur Kaha
Khuda Ka Shukar Jisne Rasoolullah Ke Bheje Hue Ko Is Cheez Ki Toufiq Bakshi Ke Jo ALLAH Ke Rasool Ko Khush Karey
(Abu Dawood V3, H#196, P78)
(Tirmizi V1, H#1338, P669)

Q.Noha Sunna, Maatam Karna, Dekhna, Ya Aisi Majalis Me Jana Jahan Ye Sab Ho Kesa He?
A. Mafhum e Ahadis:
"Jo Gireban Pharey, Chehra Nochey, Seena Peettey, Aur Jahalat Ki Pukar Pukarey, Wo Hum Me Se Nahi
(Bukhari J1 P#173)
(Tirmizi J2 P#303)
(Nisai, Kitabul Janaiz H#1862)
ALLAH Azzawajal Ne NOUHA Karne Wale Aur Sunne Wale Par Laanat Farmayi
(Qurratul Uyoon P#52)
Maatam Karna, Chaati Peetna Haram He
(Fatawa Razawiya J24 P#498)

 

 

A.Dour e Hazrat Umar Me
Hazrat Bilal Bin Haris AAQA Sallallahu Alaihi Wasallam K
Mazar e Aqdas Par Hazir Ho Kr Arz Ki
Ya Rasoolullah Apki Ummat Par Qehat Aagaya He
To Sarkar Ne (Khuwab Me Aakar) Farmaya K
Umer Ko Ja K Salam Kaho
Aur Kaho
Apne Kaam Ko Aur Behtar Banaye
Tumhe Barish Mil Jayegi
(Musannif Ibne Sheba V12 P#32 H#12051)
(Fatahul Baari V2 P#495)
(Zurqani V8 P#88)