Naat
zamin o zaman tumhare liye; makin o makan tumhare liye
chunin o chunan tumhare liye; baney do jahan tumhare liye
dahan mein zuban tumhare liye; badan mein jan tumhare liye
hum aye yahan tumhare liye; uthen bhi wahan tumhare liye
kalim o naji, masih o safi, khalil o razi, rasul o nabi
atiq o wasi, ghaniyy o ali sana ki zuban tumhare liye
tumhari chamak; tumhari damak; tumhari jhalak tumhari mahak
zamin o falak; simak o samak mein sikka nishan tumhare liye
ye shams o qamar ye sham o sahar ye barg o shajar ye bagh o samar
ye tegh o sipar ye taj o kamar ye hukm rawan tumhare liye
ye fayz diye wo jud kiye ke nam liye zamana jiye
jahan ne liye tumhare diye ye ikramiyan tumhare liye
sahab e karam rawana kiye, ke ab niam zamana piye
jo rakhte the hum wo chak siye, ye satr e badan tumhare liye
ataye arab, jalaye karab fuyuz ajab baghayr talab
ye rahmat e rabb hai kis ke sabab, bi rabb e jahan tumhare liye
na jinn o bashar ke ath pahar malayikah dar pe basta kamar
na jib’ha o sar, ke qalb o jigar, hain sajdah kunan tumhare liye
jinan mein chaman chaman mein saman; saman mein phaban, phaban mein dulhan
sazaye mihan pe ayse minan ye amn o aman tumhare liye
khalil o naji masih o safi sabhi se kahi kahin bhi bani
ye be khabari ke khalq phiri kahan se kahan tumhare liye
ishare se chand chir diya ; chupey huwey khur ko pher liya
gaye huwe din ko asr kiya; ye tab o tawan tumhare liye
saba wo chale ke bagh phale wo phool khile ke din hon bhale
liwa ke tale sana mein khule raza ki zaban tumhare liye
Wah Kia Jood-o-Karam Hai Shahe Bat-ha Tera
Nahin Sunta Hi Nahin MaangnE Waala Tera
Mein To Malik Hi Kahoonga Ke Ho Malik Kay Habeeb
Ya’nee Mahboob-o-Muhib Mein Nahin Mera Tera
Tere Qadmon Mein Jo Hai Ghayr Ka Moo Kia Dekhe
Kon Nazron Pe Charr-He Dekh Ke Talwa Tera
Tere Tukron Pe Pale Ghair Ki Thokar Pey Na Daal
Jhirkiyan Khaaye Kahan Chor Ke Sadqa Tera
Aik Mein Kia Mere Isi’ayan Ki Haqeeqat Kitni
Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Tera
Farsh Waale Teri Shawkat Ka Ulu Kya Dekhe
Khusrawa Arsh Pe Urrta Hai Pharera Tera
Teri Sarkaar Mein Laata He Raza Uss Ko Shafe’e
Jo Mera Ghaws Hai Aur Laadla Beta Tera
Bulalo phir mujhe eh Shahe behrobar Madine mein
Mein phir rota huwa awun tere dar par Madine mein
Mein pohnchun kuwe jaana mein ghareeban chaak seena chaak
Gira de kaash mujhko shawk tarpa kar Madine mein
Madine jaane walo jawo jawo fee amaanillah
Kabhi tho apna bhi lag jayega bistar Madine mein
Salaam e shawk kehna haajion mera bhi ro ro kar
Tumhey aaye nazar jab roza e anwar Madine mein
Paye tableegh e Sunnat tu jahaan rakkhe magar eh kaash
Mein khwaabon mein pohnchta hi rahoon aksar Madine mein
Madina iss liye Attar jaano dil se hai pyara
Ke rehte hai mere Aaqa mere dilbar Madine mein
Bulalo phir mujhe eh Shahe behrobar Madine mein
Mein phir rota huwa awun tere dar par Madine mein
Ya ilaahi har jaga teri ataa ka saath ho
Jab pare mushkil sha'e mushkil kusha ka saath ho
Shaadiye deedare husne Mustafa ka saath ho
Ya ilaahi gor teera ki jab aayeh sakht raat
Unke pyaare mu ki subha jaa fiza ka saath ho
Ya ilaahi jub pare mahshar me shore daar-o-geer
Amn dene waale pyaare peshwa ka saath ho
Saahib-e-Kauthar Sha'e Jood-o-ataa Ka Saath Ho
Sayyad-e-besaaya ke zille-e-liwaa ka saath ho
Daaman-e-mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
Aib-e-pooshe khalq sat'taare khata ka saath ho
Un tabassum rez-e-honto ki dua ka saath ho
Chashme giryaane shafi-e-murtaja ka saath ho
Unki neechi neechi nazro ki hayaa ka saatho ho
Aftaab-e-haashmi noorul huda ka saath ho
Rabbe sallim kehne waale ghamzudah ka saath ho
Qudsiyo ke lub se aameen rab'bana ka saath ho
Ya ilaahi jab Raza khaab-e-giraa say sar utaa'ay
Daulat-e-baydaar ishq-e-Mustafa ka saath ho
Ya ilaahi lay chalay jub dafan karnay qabar may
Ghause-e-azam peshwa'ay awliya ka saath ho